🔴 TODAY HEADLINE - 16 NOVEMBER 2026 🔴
LOL NEWS 24 | Walong, Arunachal Pradesh | Subah 7 Baje
1. Cyclone Akvan Aayega - Andhra, Tamil Nadu Alert!
Bay of Bengal me bada toofan ban raha hai. IMD ke hisab se kal tak ye Severe Cyclone ban jayega. Andhra coast, Tamil Nadu aur Bengal me bhari baarish hogi. Machhuaro ko samundar me na jaane ki salah di gayi hai.
2. Prince William Aur Kate Mumbai Pahunche!
Earthshot Prize ke liye William aur Kate Mumbai aaye hai. Cancer se thik hone ke baad Kate ki ye pehli badi foreign trip hai. Wo PM Modi se bhi milenge.
3. PM Modi Philippines Ravana - ASEAN Summit
PM Modi aaj Manila jayenge. ASEAN-India aur East Asia Summit me hissa lenge. 18 November tak wahi rahenge. Trade aur samundari suraksha pe baat hogi.
4. India Ne NZ Ko Haraya - Series Jeeti!
5th ODI me New Zealand 187 run pe all out ho gaya. India ne aasani se match jeet kar Series apne naam ki. Bowling bahut zabardast rahi.
5. Kaziranga Accident - 23 Ki Maut
Kaziranga me Truck aur Bus ki takkar me 23 logon ki maut ho gayi, 7 log hospital me hai. Golaghat SP ne iski pushti ki hai.
6. Punjab Me 2 Bus Takrayi - 5 Ki Maut
Tarn Taran me Punjab Pilgrimage Scheme ki 2 bus aapas me takra gayi. Is hadse me 5 logon ki maut ho gayi.
© LOL NEWS 24 - Har Subah 7 Baje Nayi Khabar